Ghazal sms
Labon pe harf na koi sawal rakhta tha
Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha
Khabar kahan thi mujhy he wo bhool jaye ga
Ek ek cheez jo meri sambhaal rakhta tha
Bicharty waqt bzahir to kuch na bola tha
Magar nigah main so so sawal rakhta tha
Wo muskura k bohat dair chup raha
Jaise hansi ki aar main malaal rakhta tha
Suna hai ab log usay bohat statay hain
Jis aik shaks ka main bohat khayal rakhta tha